hujum-e-gardish-e-dauran hai kya ghazal kahiye
dil-o-dimagh pareshan hai kya ghazal kahiye
ye kis ne aag laga di gulon ke daman mein
dhuan dhuan sa gulistan hai kya ghazal kahiye
jalae jate hain ab ghar mein aansuon ke charagh
ajib jashn-e-charaghan hai kya ghazal kahiye
ye siTiyon ki sada raat ka ye sannaTa
sukut-e-shahr-e-KHamoshan hai kya ghazal kahiye
ghira hua hai chaman nargha-e-siyasat mein
bahaar shoala-ba-daman hai kya ghazal kahiye
jo 'raaz' mulk mein amn-o-aman ki baat kare
ab us ke waste zindan hai kya ghazal kahiye

Ghazal
Hujum-e-gardish-e-dauran hai kya ghazal kahiye
Raaz Allahabadi