hujum-e-dard mila zindagi azab hui
dil o nigah ki sazish thi kaamyab hui
tumhaari hijr-nawazi pe harf aaega
hamari munis o hamdam agar sharab hui
yahan to zaKHm ke pahre biThae the hum ne
shamim-e-zulf yahan kaise baryab hui
hamare nam pe gar ungliyan uThin to kya
tumhaari madh-o-sataish to be-hisab hui
hazar pursish-e-gham ki magar na ashk bahe
saba ne zabt ye dekha to la-jawab hui

Ghazal
Hujum-e-dard mila zindagi azab hui
Shahryar