اردو हिंदी
Hui ya mujhse nafrat ya kuchh isMein kibr-o-naz aaya | Shaahi Shayari
hui ya mujhse nafrat ya kuchh isMein kibr-o-naz aaya

Ghazal

Hui ya mujhse nafrat ya kuchh isMein kibr-o-naz aaya

shauq Qidvai

;

hui ya mujh se nafrat ya kuchh is mein kibr-o-naz aaya
kabhi wo muskura deta tha ab is se bhi baz aaya

naya fitna jo nikla koi to talim dilwane
zamana le ke us ko pesh-e-chashm-e-fitna-saz aaya

badalti rahti hai har dam meri shakl is qadar gham se
gaya jab main to samjha wo naya ek ishq-baz aaya

hui dil ki KHabar dil ko ki wo bad-zan hua warna
na Tapke ashk aankhon se na munh tak harf-e-raaz aaya

bachaya dard se majbur kar ke tark-e-ulfat par
wo aaya dil-shikan ban kar to goya dil-nawaz aaya

tere hathon shikast-e-dil mein lutf-e-dil-nawazi hai
ye kya kam hai ki pahlu tak tera dast-e-daraaz aaya

magar taza sitam ko wo meri sehat ka KHwahan hai
ki kal zaKHmi kiya aur aaj ban kar chaarasaz aaya

ghubar-e-rah ne aankhen milane din na dil bhar ke
wo mere ghar jo aaya le ke chashm-e-nim-baz aaya

hua hai 'shauq' mai-KHane mein daKHil kis takalluf se
bichhane ke liye masjid se le kar ja-namaz aaya