hui shakl apni ye ham-nashin jo sanam ko hum se hijab hai
kabhi ashk hai kabhi aah hai kabhi ranj hai kabhi tab hai
zara dar pe us ke pahunch ke hum jo bulawen us ko to dosto
kabhi ghussa hai kabhi chheD hai kabhi hila hai kabhi KHwab hai
jo us anjuman mein hain baiThte to mizaj us ke se hum ko wan
kabhi ijz hai kabhi bim hai kabhi rasm hai kabhi dab hai
wo udhar se ja ke jo aata hai use donon haal se dil mein yan
kabhi soch hai kabhi fikr hai kabhi ghaur hai kabhi tab hai
jo wo baad bosa ke naz se zara jhiDke hai to 'nazir' ko
kabhi misri hai kabhi qand hai kabhi shahd hai kabhi rab hai
Ghazal
Hui shakl apni ye ham-nashin jo sanam ko humse hijab hai
Nazeer Akbarabadi