hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu
kahan gaya hai mere shahr ke musafir tu
meri misal ki ek naKHl-e-KHushk-e-sahra hun
tera KHayal ki shaKH-e-chaman ka tair tu
main jaanta hun ki duniya tujhe badal degi
main manta hun ki aisa nahin ba-zahir tu
hansi-KHushi se bichhaD ja agar bichhaDna hai
ye har maqam pe kya sochta hai aaKHir tu
faza udas hai rut muzmahil hai main chup hun
jo ho sake to chala aa kisi ki KHatir tu
'faraaz' tu ne use mushkilon mein Dal diya
zamana sahab-e-zar aur sirf shaer tu
Ghazal
Hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu
Ahmad Faraz