hue the bhag ke parde mein tum nihan kyunkar
wo pahli wasl ki shab shoKHiyan thin han kyunkar
falak ko dekh ke kahta hun josh-e-wahshat mein
ilahi Thahre meri aah ka dhuan kyunkar
tumhaare kuche mein us na-tawan ka tha kya kaam
mujhe bhi soch hai aaya hun main yahan kyunkar
zaban hai lazzat-e-bosa se band ai zalim
maza bhara hai jo dil mein karun bayan kyunkar
shab-e-visal se shikwe hazaron hain ji mein
ilahi band rahegi meri zaban kyunkar

Ghazal
Hue the bhag ke parde mein tum nihan kyunkar
Taskeen Dehlavi