hue sab ke jahan mein ek jab apna jahan aur hum
musalsal laDte rahte hain zamin-o-asman aur hum
kabhi aakash ke tare zamin par bolte bhi the
kabhi aisa bhi tha jab sath thin tanhaiyan aur hum
sabhi ek dusre ke dukh mein sukh mein rote hanste the
kabhi the ek ghar ke chand suraj naddiyan aur hum
moarriKH ki qalam ke chand lafzon si hai ye duniya
badalti hai har ek yug mein hamari dastan aur hum
daraKHton ko hara rakhne ke zimmedar the donon
jo sach puchho barabar ke hain mujrim baghban aur hum
Ghazal
Hue sab ke jahan mein ek jab apna jahan aur hum
Nida Fazli