hue hain phir se andheron ke hausle raushan
qalam sambhaal andhere ko jo likhe raushan
ye sukhi jhilen thin in mein kahan se aai baDh
hamari aankhon mein hain kis ke tajrabe raushan
ye aur baat hawa ne bujha diye kafi
tumhaari yaad ke lekin hain kuchh diye raushan
tumhein chamakna hai to likkho hum ko safhon par
hamare hone se hote hain hashiye raushan
udas sham hai aur sare bench KHali hain
koi zamana tha hote the qahqahe raushan
zara si der ko saye mein un ke aaya tha
yaqin jaano hue sare zawiye raushan
mere qarib koi KHwab kaise aa pata
ki mujh mein rahte hain barson se ratjage raushan
ab un pe dhund qayamat ki dhund tari hai
tumhaare sath jo hote the marhale raushan
haqiqatan use dekha kahan hai muddat se
hain jis ki did ke KHwabon mein waqiye raushan
gire jo yaad ki jacket pe yaad ke phahe
andhere dil mein hue KHub walwale raushan
kiya muaf jo ek dusre se dur rahe
qarib aae, hue sare fasle raushan
main tirgi sahi lekin kabhi kabhi mujh mein
huzur koi to pahlu nikaliye raushan
Ghazal
Hue hain phir se andheron ke hausle raushan
Navneet Sharma