اردو हिंदी
Hua na KHatm azabon ka silsila ab tak | Shaahi Shayari
hua na KHatm azabon ka silsila ab tak

Ghazal

Hua na KHatm azabon ka silsila ab tak

Shakeel Azmi

;

hua na KHatm azabon ka silsila ab tak
KHizan ki zad mein bhi ek phul hai hara ab tak

mila tha zahr jo wirse mein pi rahe hain hum
na us ne sulh ki sochi na main jhuka ab tak

ye sach hai wahm ke daldal se lauT aaya hun
magar yaqin ka dhundla hai aaina ab tak

inhi ghamon ka wo ek din hisab mangega
falak se jo mere kashkol mein paDa ab tak

abhi abhi meri aankhon ne kho diya us ko
wo dard ban ke meri siskiyon mein tha ab tak

na jaane kitni bali di hai rat-jagon ki use
magar mila na wo KHwabon ka dewta ab tak

juda hui thi jahan mil ke zindagi ek din
bhaTak rahi hai wahin meri aatma ab tak