hua KHurshid ke dekhe se duna iztirab apna
ki ye nikla sahar ko aur na nikla aaftab apna
tere munh ke jo har dam ru-ba-ru aane ko kahta hai
zara aaina le kar munh to dekhe aaftab apna
na itna zulm kar ai chandni bahr-e-KHuda chhup ja
tujhe dekhe se yaad aata hai mujh ko mahtab apna
KHafa dekha hai us ko KHwab mein dil saKHt muztar hai
khila de dekhiye kya kya gul-e-tabir-e-KHwab apna
sahar-asa ayan hote hi li rah-e-adam hum ne
hua aana bhi aur jaana bhi aisa kuchh shitab apna
'nazir' is bahr mein fursat kam aur aish-o-tarab lakhon
to phir ab haq-ba-jaanib hai kare kya kya hisab apna
Ghazal
Hua KHurshid ke dekhe se duna iztirab apna
Nazeer Akbarabadi