hua KHatm dariya to sahra laga
safar ka tasalsul kahan ja laga
ajab raat basti ka naqsha laga
har ek naqsh andar se TuTa laga
tumhaara hazaron se rishta laga
kaho sain ka kaam kaisa laga
abhi khinch hi jati lahu ki dhanak
miyan tir Tuk tera tirchha laga
lahu mein utarti rahi chandni
badan raat ka kitna ThanDa laga
tajjub ke suraKH se dekhte
andhere mein kaise nishana laga
Ghazal
Hua KHatm dariya to sahra laga
Adil Mansuri