hoti hai labon par KHamoshi aankhon mein mohabbat hoti hai
jab un se nigahen milti hain us waqt ye haalat hoti hai
rangini-e-bazm-e-duniya mein aisa bhi zamana aata hai
wo dard qaza ban jata hai jis dard mein rahat hoti hai
ye tujh pe falak ne zulm kiya wo mujh se juda main un se juda
KHushiyan to manao ahl-e-jahan barbaad mohabbat hoti hai
aate hain wo sair-e-gulshan ko kanTon se bachae daman ko
honTon pe tabassum hai un ke aankhon se shararat hoti hai
dekha hai hamari aankhon ne ye baat haqiqat hoti hai
har shaKHs mehrban hota hai jab us ki inayat hoti hai
tanhai ke aalam mein aksar dil us se bahalta hai 'shewan'
tariki-e-sham-e-hijran mein gham ki bhi zarurat hoti hai

Ghazal
Hoti hai labon par KHamoshi aankhon mein mohabbat hoti hai
Shevan Bijnauri