hosh manzil kho ke manzil ka pata pate hain log
tark-e-lazzat mein to kuchh lazzat siwa pate hain log
dard ke maron ko hi dard-ashna pate hain log
be-wafaon mein kahan bu-e-wafa pate hain log
nutq qasir hai bayan se wo maza pate hain log
mujh se puchho ishq mein gum ho ke kya pate hain log
baad istighraq hath aai hai bas matlab ki baat
Dub kar gahre mein durr-e-be-baha pate hain log
karte apne se baDon ka hain jo dil se ehtiram
rahte hain KHush yun buzurgon ki dua pate hain log
manzil-e-dar-o-rasan ho ya salib-e-sarfaraaz
apne hi naqsh-e-kaf-e-pa ja-ba-ja pate hain log
bhul kar KHud ko KHuda ki yaad mein hote hain mahw
naKHuda ko bhi bhanwar mein ba-KHuda pate hain log
be-KHudi mein raaz-e-dil kah Dalte hain be-jhijak
pine walon ko nashe mein parsa pate hain log
chhanw ki dhup aur barish mein hai khulti ahmiyat
sar chhupate hain jahan saya zara pate hain log
KHud mein aati hain nazar hirs-o-hawas ki bastiyan
dida-e-bina kabhi jab apne wa pate hain log
lutf-e-KHas us ka samajh kar dil se karte hain qubul
jo bhi dast-e-naz se achchha bura pate hain log
lagta KHali zehn shaitan ki dukan ho jis tarah
ghar mein ghuste hain jo darwaza khula pate hain log
qadr-o-qimat dard-e-dil ki ahl-e-dil se puchhiye
dard ko darman-e-dard-e-la-dawa pate hain log
jauhar-e-zati mohabbat zabt hai us ka shiar
husn-e-KHud-bin ko azal se KHud-numa pate hain log
KHana-e-dil to mohabbat mein raha bagh-o-bahaar
aur ghar honge jinhen wahshat-sara pate hain log
dast-e-aqdas se jo hath aae ghanimat jaaniye
bad-dua ko bhi buzurgon ki dua pate hain log
bhai ko kar de juda bhai se roTi kya ajab
khane mein KHud apne honTon ko juda pate hain log
us ka lutf-e-KHas jo ye istitaat hai nasib
bar-e-gham juz ibn-e-adam kya uTha pate hain log
chandni raaton mein mauj-e-ab-e-ju ke sath sath
'mahir'-e-KHush-gu ko bhi naghma-sara pate hain log

Ghazal
Hosh manzil kho ke manzil ka pata pate hain log
Maahir Balgiraami