اردو हिंदी
HonTon ke sahifon pe hai aawaz ka chehra | Shaahi Shayari
honTon ke sahifon pe hai aawaz ka chehra

Ghazal

HonTon ke sahifon pe hai aawaz ka chehra

Yusuf Azmi

;

honTon ke sahifon pe hai aawaz ka chehra
saya sa nazar aata hai har saz ka chehra

aankhon ki guphaon mein taDapti hai KHamoshi
KHwabon ki dhanak hai mere hamraaz ka chehra

main waqt ke kohram mein kho jaun to kya gham
DhunDega zamana meri aawaz ka chehra

suraj ke badan se nikal aae hain sitare
anjam mein bedar hai aaghaz ka chehra

palken hain ki sargoshi mein KHushbu ka safar hai
aankhon ki KHamoshi hai ki aawaz ka chehra