hone ko ab kya dekhiye kya kuchh hai aur kya kuchh nahin
manzar abhi hai samne wo bhi ki jab tha kuchh nahin
us ki hina par war de fil-faur dil ki saltanat
pyare kisi ke hath mein ta-der rahta kuchh nahin
mat jaan dil ke samne kafi hai ek chehra tera
aise andhere ke liye itna ujala kuchh nahin
kitne gharaunde ret ke maujen baha kar le gain
har bar ek dil ke siwa aise mein TuTa kuchh nahin
surat ko mani ke tain darkar hai kuchh fasla
jab tak tha aage aankh ke main ne to dekha kuchh nahin
Ghazal
Hone ko ab kya dekhiye kya kuchh hai aur kya kuchh nahin
Mohammad Aazam