hone ki ek jhalak si dikha kar chala gaya
kholi thi hum ne aankh ki manzar chala gaya
kya KHud ko dekhne ka ajab shauq tha ki wo
chup-chap uTh ke su-e-samundar chala gaya
kin daeron mein ghumte hain ab KHabar nahin
kyun hath se wo chaak sa chakkar chala gaya
pahle qadam pe KHatm hua qissa-e-junun
pahla qadam hi dasht barabar chala gaya
hum bhi usi ke sath gae hosh se 'said'
lamha jo qaid-e-waqt se bahar chala gaya
Ghazal
Hone ki ek jhalak si dikha kar chala gaya
Saeed Ahmad