اردو हिंदी
Hone ka etibar nahin kar rahe hain log | Shaahi Shayari
hone ka etibar nahin kar rahe hain log

Ghazal

Hone ka etibar nahin kar rahe hain log

Ishaq Veerdag

;

hone ka e'tibar nahin kar rahe hain log
ab KHud ko iKHtiyar nahin kar rahe hain log

ab ishq aur dasht KHasare mein hain miyan
ab dil ka karobar nahin kar rahe hain log

tayyar hai tamasha dikhane ko ek shaKHs
mahaul sazgar nahin kar rahe hain log

ab hai nizam-e-ishq mein tarmim ka chalan
taron ka bhi shumar nahin kar rahe hain log

hairan hun ki itni riyazat ke bawajud
kyun waqt ko ghubar nahin kar rahe hain log

KHush hun ki aasman se hai qaem zamin ka rabt
dukh hai ki paedar nahin kar rahe hain log

shayad ki meri maut ka elan ho chuka
ab mujh pe koi war nahin kar rahe hain log

aage ki dauD mein hue mahdud is tarah
mazi pe eqtidar nahin kar rahe hain log

ai yar apne husn pe kuchh KHak Dal de
ab ishq iKHtiyar nahin kar rahe hain log

ab nisf shab nikalte hain be-KHauf kaam par
suraj ka intizar nahin kar rahe hain log