hogi is Dher imarat ki kahani kuchh to
DhunD alfaz ke malbe mein maani kuchh to
log kahte hain ki tu mujh ko bura kahta hai
main bhi sun lun tere honTon ki zabani kuchh to
barf ne karb ki patwar ko bhi toD diya
dil ke dariya ko ata kar de rawani kuchh to
bhul baiThe hain wo bachpan ke fasane lekin
yaad hogi unhen pariyon ki kahani kuchh to
naqsh-e-pa tak bhi na chhoDegi hawa hai pagal
kaun jaanib mujhe jaana hai nishani kuchh to
tere ehsas mein shole hain ye mana 'shahpar'
sirf rasmi hi sahi barf-bayani kuchh to
Ghazal
Hogi is Dher imarat ki kahani kuchh to
Shehpar Rasool