اردو हिंदी
Ho tera ishq meri zat ka mehwar jaise | Shaahi Shayari
ho tera ishq meri zat ka mehwar jaise

Ghazal

Ho tera ishq meri zat ka mehwar jaise

Urooj Zehra Zaidi

;

ho tera ishq meri zat ka mehwar jaise
usi ehsas ki main ho gai KHugar jaise

ek virani tere lahje se aai mujh tak
phir wahi mere utar aai ho andar jaise

koi bhi kaam mere haq mein nahin ho pata
ruTh kar baiTh gaya ho ye muqaddar jaise

wo koi waqt tha jab dil tha baDa nazuk sa
ab to sine mein rakha hai koi patthar jaise

ho tera haal mere ishq mein waisa 'zehra'
hai mera haal tere hijr mein abtar jaise