ho teri yaad ka dil mein guzar aahista aahista
kare ye chand sahra mein safar aahista aahista
bahut tezi se duniya chhin legi jab tujhe mujh se
tu phir is dil mein aise mat utar aahista aahista
ki hum dhoke mein rakkhen doston ko KHush-kalami se
hamein aa hi gaya ye bhi hunar aahista aahista
kahin se ek virani ka saya phailta aaya
hue be-rang sab diwar-o-dar aahista aahista
na TuTe aur kuchh din tujh se rishta is tarah mera
mujhe barbaad kar de tu magar aahista aahista
ye KHamoshi yahan ka husn hai rakhna KHayal is ka
'kamal' is dasht-e-viran se guzar aahista aahista
Ghazal
Ho teri yaad ka dil mein guzar aahista aahista
Hasan Akbar Kamal