ho ruh ke tain jism se kis tarah mohabbat
tair ko qafas se bhi kahin ho hai mohabbat
go zill-e-huma mat ho rahe sar pe hamare
ta-hashr tera saya-e-diwar salamat
atwar tere bais-e-afat-e-jahan hain
aasar tere hainge sab aasar-e-qayamat
sayyaad na ab be-par-o-baalon ko tu ab chhoD
phir hasrat-e-gul degi hamein saKHt aziyyat
asbab jahan ki to dila fikr na kar tu
hasil nahin kuchh is mein ba-juz ranj-o-mashaqqat
chhoDunga na main tujh ko tere KHat ke bhi aae
tu tab bhi na ho yar to ye bhi meri qismat
'taban' tu sada sair har ek gul ki kiya kar
is gulshan-e-hasti ka nazara hai ghanimat
Ghazal
Ho ruh ke tain jism se kis tarah mohabbat
Taban Abdul Hai