ho raha hai abr aur karta hai wo jaanana raqs
barq gird us ke kare hai aa ke be-tabana raqs
daur mein chashm-e-gulabi ke tere ai baada-nosh
bazm mein karta hai maston ki tarah paimana raqs
is qad o ruKHsar par ai shama-ru is husn par
qamri o bulbul kare hai wajd aur parwana raqs
ghungru jaane hai panw mein wo zanjiron ke tain
kyun na is aawaz par ban ban kare diwana raqs
jis ke ghar aawe wo 'hatim' naz se rakhta qadam
uTh khaDa ho kar kare is aan sahib-KHana raqs
Ghazal
Ho raha hai abr aur karta hai wo jaanana raqs
Shaikh Zahuruddin Hatim

