ho lene do barish hum bhi ro lenge
dil mein hain kuchh zaKHm purane dho lenge
mera is bazar mein jaana hai be-sud
meri ana ko wo sikkon se taulenge
jate hain sab apni apni Toli mein
apna kaun hai sath kisi ke ho lenge
us ko shayad yaad hamari aaegi
hawa chalegi aur parinde Dolenge
sab chiKHe chillae kya paDta hai farq
be-his patthar kabhi nahin kuchh bolenge
KHud hi samundar KHud hi dariya Dar kaisa
jab chahenge KHud ko KHud mein samo lenge
dil ki dhaDkan baDhi hai sunne walon ki
kis ne KHabar uDa di hum kuchh bolenge
Ghazal
Ho lene do barish hum bhi ro lenge
Sardar Asif