ho ke KHush naz hum aison ke uThane wala
koi baqi na raha agle zamane wala
KHwab tak mein bhi nazar aata nahin ai chashm
mere ro dene pe ashkon ka bahane wala
aaj kuchh sham se chup hai dil-e-mahzun kya ilm
kyun KHafa hai mera raaton ka jagane wala
be-KHudi kyun na ho tari ki gaya sine se
ashk-e-KHun aaTh-pahr mujh ko rulane wala
kab samajhta hai ki jina bhi hai aaKHir koi shai
apni hasti teri ulfat mein miTane wala
mohtasib KHush hai bahut toD ke KHum-ha-e-sharab
gham nahin sar pe salamat hai pilane wala
ho gae dekhne wale bhi jahan se nayab
ab dikhae kise hairan hai dikhane wala
tere bimar-e-mohabbat ki ye haalat pahunchi
ki haTaya gaya takiya bhi sirhane wala
samna us but-e-kafir ka hai dekhen kya ho
KHud hai shashdar mera iman bachane wala
'shad' ek bhiD lagi rahti thi jis ghar mein wahan
aane wala hai na ab koi na jaane wala
Ghazal
Ho ke KHush naz hum aison ke uThane wala
Shad Azimabadi