اردو हिंदी
Ho id ya moharram hum gham kiya karenge | Shaahi Shayari
ho id ya moharram hum gham kiya karenge

Ghazal

Ho id ya moharram hum gham kiya karenge

Kishan Kumaar Waqaar

;

ho id ya moharram hum gham kiya karenge
do roza dahr-e-dun mein matam kiya karenge

mazmun darhami ka gesu ke bandhenge hum
har dam mizaj apna barham kiya karenge

us harf-e-na-shunu ki furqat mein chupke baiThe
hum apne dil se baaten har dam kiya karenge

kanon tak us ke pahunche manind-e-zulf jab hum
sargoshiyan sarasar baham kiya karenge

wo zulf-o-ruKH se apne kafur-o-mushk le kar
tayyar zaKHm-e-dil ka marham kiya karenge

go talKH wo kahenge lab-ha-e-shakkarin se
har dam dua magar hum ham-dam kiya karenge

go KHun ka qatra qatra dil se 'waqar' kam ho
lekin suKHan suKHan se hum zam kiya karenge