ho gaya paemal aankhon mein
mar gaya ek sawal aankhon mein
us ki do be-misal aankhon
husn tha ba-kamal aankhon mein
kya bacha pur-malal aankhon mein
hai faqat KHun lal aankhon mein
ishq-e-awwal hai zehn mein jaanan
jo hua tere nal aankhon mein
jin se nikli ho aansuon ki nadi
tum ne dekha wo tal aankhon mein
jang jari hai chaar aankhon mein
ho raha hai qital aankhon mein
un ki aankhon se jab mili aankhen
dil ka kah Dala haal aankhon mein
zindagi be-wafa hai ai 'arif'
itne sapne na pal aankhon mein

Ghazal
Ho gaya paemal aankhon mein
Syed Mohammad Askari Arif