ho gaya hun har taraf bad-nam tere shahr mein
ye mila hai pyar ka inam tere shahr mein
jab sunahri chuDiyan bajti hain dil ke saz par
nachti hai gardish-e-ayyam tere shahr mein
is qadar pabandiyan aaKHir ye kya andher hai
le nahin sakte tera hi nam tere shahr mein
ab to yaadon ke ufuq par chand ban kar muskura
rote rote ho gai hai sham tere shahr mein
kab khulega tere mai-KHane ka dar mere liye
phir raha hun le ke KHali jam tere shahr mein
ek diwane ne kar li KHud-kushi pichhle pahar
aa gaya aaKHir use aaram tere shahr mein
'prem' yusuf to nahin lekin ba-andaz-e-digar
ho chuka hai bar-ha nilam tere shahr mein
Ghazal
Ho gaya hun har taraf bad-nam tere shahr mein
Prem Warbartani