اردو हिंदी
Ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe | Shaahi Shayari
ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe

Ghazal

Ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe

Riaz Majeed

;

ho gaya hai ek ek pal kaTna bhaari mujhe
mar degi zindagani ki giran-bari mujhe

dar-ba-dar phir phir ke KHud apne se nafrat ho gai
khokhla sa kar gaya hai ranj-e-bekari mujhe

itna kuchh dekha ki sab kuchh ek sa lagne laga
kar gaya hai waqt mahsusat se aari mujhe

main siyah malbus guzre waqt ka hun matami
zist ne saunpi hai mazi ki aza-dari mujhe

ek ek kar ke kaTe bahar ke sare rabte
kar gai tanha meri sochon ki bimari mujhe

ji mein aata hai bikhar kar dahr bhar mein phail jaun
qabr lagti hai badan ki chaar-diwari mujhe

tu nazar aaya to jangal zat ka jal jaega
rakh kar degi teri KHwahish ki chingari mujhe

roz o shab rahta hun gum-sum aur mutafakkir 'riyaz'
karni hai kis imtihan ki jaane tayyari mujhe