ho dil-lagi mein bhi dil ki lagi to achchha hai
laga ho kaam se gar aadmi to achchha hai
andheri shab mein ghanimat hai apni tabish-e-dil
hisar-e-jaan mein rahe raushni to achchha hai
shajar mein zist ke hai shaKH-e-gham samar-awar
jo in ruton mein phale shairi to achchha hai
ye hum se Dubte suraj ke rang kahte hain
zawal mein bhi ho kuchh dilkashi to achchha hai
saza zamir ki chehra bigaD deti hai
KHud apni jun mein ho aadmi to achchha hai
nahin jo lazzat-e-duniya nashat-e-gham hi sahi
mile jo yak-do nafas sarKHushi to achchha hai
safar mein ek se do hon to rah aasan ho
chale jo sath mere bekasi to achchha hai
dayar-e-dil mein mahakte hain phul yaadon ke
rache base jo abhi zindagi to achchha hai
chalo jo kuchh nahin 'baqar' mata-e-dard to hai
use sambhaal ke rakkho abhi to achchha hai
Ghazal
Ho dil-lagi mein bhi dil ki lagi to achchha hai
Sajjad Baqar Rizvi