hisab-e-tark-talluq tamam main ne kiya
shurua us ne kiya iKHtitam main ne kiya
mujhe bhi tark-e-mohabbat pe hairaten hain rahin
jo kaam mera nahin tha wo kaam main ne kiya
wo chahta tha ki dekhe mujhe bikharte hue
so us ka jashn ba-sad-ehtimam main ne kiya
bahut dinon mere chehre pe kirchiyan si rahin
shikast-e-zat ko aaina-fam main ne kiya
bahut dinon mein mere ghar ki KHamoshi TuTi
KHud apne-ap se ek din kalam main ne kiya
KHuda-e-zabt ne mausam pe qudtaren baKHshin
ghubar-e-tund ko aahista-gam main ne kiya
is ek hijr ne milwa diya visal se bhi
ki tu gaya to mohabbat ko aam main ne kiya
mizaj-e-gham ne bahar-taur mashghale DhunDe
ki dil dukha to koi kaam-wam main ne kiya
chali jo sail-e-rawan par wo kaghzi kashti
to is safar ko mohabbat ke nam main ne kiya
wo aaftab jo dil mein dahak raha tha 'saud'
use sapurd-e-shafaq aaj sham main ne kiya
Ghazal
Hisab-e-tark-talluq tamam maine kiya
Saud Usmani