hirs-o-hawas ke nam ye din raat ki talab
imdad ki umid mafadat ki talab
wo sanehe ki soch badalni paDi mujhe
paidaeshi nahin thi KHayalat ki talab
main bhi kisi masiha ke hun intizar mein
tum ko bhi ghaaliban hai karamat ki talab
KHabron mein ek lutf ka pahlu to hai magar
achchhi nahin hai itni bhi haalat ki talab
kaisa ajib rog mere ji ko lag gaya
har waqt hai kisi se mulaqat ki talab
jurat se apni KHud bhi main hairan hun bahut
baDhti hi ja rahi hai sawalat ki talab
tu bhi gunahgar yaqinan hai zat ka
'saurabh' teri saza bhi wahi zat ki talab
Ghazal
Hirs-o-hawas ke nam ye din raat ki talab
Saurabh Shekhar