himmat-e-ali ka itna to ziyan hona hi tha
jurm-e-gihan-tab ko be-KHanuman hona hi tha
ye to ai matam-kanan-e-kushtagan hona hi tha
un muhim-juyan ko ek din jawedan hona hi tha
mar ke bhi yaadon mein jina chahta hai aadmi
aadmi ki zindagi ko imtihan hona hi tha
qismat qamusiyan har ahd mein sar-gashtagi
tab to ummiin ko aaKHir zaban hona hi tha
shahid-e-mahmil hai itni qurbaten ye duriyan
hae wo jis ka muqaddar sarban hona hi tha
saunp kar miTTi ko miTTi li hawa ne apni rah
mashghala tha KHak se daman-fashan hona hi tha

Ghazal
Himmat-e-ali ka itna to ziyan hona hi tha
Rasheed Kausar Farooqi