hijr tanhai ke lamhon mein bahut bolta hai
rang is ka kai rangon mein bahut bolta hai
main use chup ke hawale se bhi kaise likkhun
wo to aisa hai ki harfon mein bahut bolta hai
ek lau hai ki sar-e-baam thirakti hai bahut
ek diya hai ki darichon mein bahut bolta hai
apni aawaz sunai nahin deti mujh ko
ek sannaTa ki galiyon mein bahut bolta hai
ek hi lai se hai manus mera tar-e-nafas
ek hi sar mere kanon mein bahut bolta hai
chaT leti hai mera jism mere peD ki dhup
mera saya bure waqton mein bahut bolta hai
akasr auqat meri zat ka ek KHali-pan
meri TuTi hui chizon mein bahut bolta hai
dil mera us ki tarah phul ke manind hai 'qais'
jo meri band kitabon mein bahut bolta hai
Ghazal
Hijr tanhai ke lamhon mein bahut bolta hai
saeed Qais