اردو हिंदी
Hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta | Shaahi Shayari
hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta

Ghazal

Hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta

Afzal Gauhar Rao

;

hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta
ek hi ishq dobara to nahin ho sakta

chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyan
shahr ka shahr hamara to nahin ho sakta

kab talak qaid rakhun aankh mein binai ko
sirf KHwabon se guzara to nahin ho sakta

raat ko jhel ke baiTha hun to din nikla hai
ab main suraj se sitara to nahin ho sakta

dil ki binai ko bhi sath mila le 'gauhar'
aankh se sara nazara to nahin ho sakta