اردو हिंदी
Hijr mein dil ka dagh jalta hai | Shaahi Shayari
hijr mein dil ka dagh jalta hai

Ghazal

Hijr mein dil ka dagh jalta hai

Mohammad Abbas Safiir

;

hijr mein dil ka dagh jalta hai
be-kasi ka charagh jalta hai

dil jalate ho sard-mehri se
is tarah bhi charagh jalta hai

meri aankhon mein un ka jalwa hai
aaine mein charagh jalta hai

dam hai aankhon mein nabzen Dubi hain
dhima dhima charagh jalta hai

shola-e-ah ye nahin hai 'safir'
hasraton ka charagh jalta hai