hijr ki shab hai aur ujala hai
kya tasawwur bhi luTne wala hai
gham to hai ain-e-zindagi lekin
gham-gusaron ne mar Dala hai
ishq majbur o na-murad sahi
phir bhi zalim ka bol-baala hai
dekh kar barq ki pareshani
aashiyan KHud hi phunk Dala hai
kitne ashkon ko kitni aahon ko
ek tabassum mein us ne Dhaala hai
teri baaton ko main ne ai waiz
ehtiraman hansi mein Tala hai
maut aae to din phiren shayad
zindagi ne to mar Dala hai
sher naghma shaguftagi masti
gham ka jo rup hai nirala hai
laghzishen muskurai hain kya kya
hosh ne jab mujhe sambhaala hai
dam andhere mein ghuT raha hai 'KHumar'
aur chaaron taraf ujala hai
Ghazal
Hijr ki shab hai aur ujala hai
Khumar Barabankavi