اردو हिंदी
Hazimaten jo fana kar gain ghurur mera | Shaahi Shayari
hazimaten jo fana kar gain ghurur mera

Ghazal

Hazimaten jo fana kar gain ghurur mera

Aftab Iqbal Shamim

;

hazimaten jo fana kar gain ghurur mera
unhi ke dam se munawwar hua shuur mera

main hairati kisi mansur ki talash mein hun
kare jo aa ke ye aaina chur chur mera

riwaj-e-zehn se main iKHtilaf rakhta tha
sar-e-salib mujhe le gaya futur mera

wo ajnabi hai magar ajnabi nahin lagta
yahi ki us se koi rabt hai zarur mera

main Dub kar bhi kisi daur mein nahin Duba
raha hai matla-e-imkan mein zuhur mera

use ab ahd-e-alam ki inayaten kahiye
ki zulmaton mein ujagar hua hai nur mera

main us lihaz se be-nam nam-awar hun
ki mere baad hua zikr dur dur mera