hazaron tarah apna dard hum us ko sunate hain
magar taswir ko har haal mein taswir pate hain
bujha de ai hawa-e-tund madfan ke charaghon ko
siyah-baKHti mein ye ek bad-numa dhabba lagate hain
murattab kar gaya ek ishq ka qanun duniya mein
wo diwane hain jo majnun ko diwana batate hain
usi mahfil se main rota hua aaya hun ai 'asi'
ishaare mein jahan lakhon muqaddar badle jate hain
Ghazal
Hazaron tarah apna dard hum usko sunate hain
Aasi uldani