اردو हिंदी
Hazar phul liye mausam-e-bahaar aae | Shaahi Shayari
hazar phul liye mausam-e-bahaar aae

Ghazal

Hazar phul liye mausam-e-bahaar aae

Saqib Lakhnavi

;

hazar phul liye mausam-e-bahaar aae
jo dil ho sukh ke kanTa to kya qarar aae

jawab le ke phiri shukr naza ki hichki
wo ab pukarte hain hum jinhen pukar aae

sulajh sakin na meri mushkilen magar dekha
ulajh gae the jo gesu unhen sanwar aae

falak ko dekh ke hanste ye gul to achchha tha
jo abr aae wo gulshan pe ashk-bar aae

bahut se yaad hain mahfil mein baiThne wale
kabhi to bhul ke koi sar-e-mazar aae

abhi hai ghuncha-e-dil ki shaguftagi mumkin
hazar bar agar mausam-e-bahaar aae

ye be-murawwatiyan dekhiye ki lab na hile
jo pas the hum unhen dur tak pukar aae

jawab mil to gaya go wo dil-shikan hi sahi
yahi sada mere malik phir ek bar aae

andheri raat thi achchha kiya jo ai 'saqib'
charagh le ke su-e-zulmat-e-mazar aae