hazar naqs hain mujh mein mere kamal ko dekh
mujhe na dekh dil-awezi-e-KHayal ko dekh
gada-e-husn tera KHugar-e-sawal nahin
nigah-e-shauq mein ranai-e-sawal ko dekh
nasim-e-subh ki aTkheliyon se barham hai
chaman mein phul ke chehre pe ishtial ko dekh
ghubar-e-rind hai ya KHak-e-saqi-e-mahwash
adab se chum ke har saghar-e-sifal ko dekh
KHayal-e-aish mein bhi kaif-e-arzu na raha
Hayat-sozi-e-zahrab-e-infial ko dekh
hujum-e-jalwa-bad-aman ada-e-KHud-bini
nigah-e-sabr se aaraish-e-jamal ko dekh
tamiz-e-KHwab-o-haqiqat hai shart-e-bedari
KHayal-e-azmat-e-mazi ko chhoD haal ko dekh
rahegi 'wajd' teri kaenat-e-dil barham
kaha tha kis ne ki us husn-e-be-misal ko dekh
Ghazal
Hazar naqs hain mujh mein mere kamal ko dekh
Sikandar Ali Wajd