hazar jaan se sahab nisar hum bhi hain
tumhaari tir-e-nigah ke shikar hum bhi hain
azal se daKHil-e-fard-e-shumar hum bhi hain
tumhaare chahne walon mein yar hum bhi hain
hamesha hum se kudurat rahi hasinon ko
na dil se nikle kabhi wo ghubar hum bhi hain
musafiron ki tawazo se nam hota hai
karam karo ki gharib-ud-dayar hum bhi hain
sharab pite hain to jagte hain sari raat
mudam aabid-e-shab-zinda-dar hum bhi hain
hazar bar hasinon se hum ne nok ki li
gulon ki aankh mein khaTke wo KHar hum bhi hain
ajib rutba inayat kiya hai qambar ko
ghulam ya shah-e-duldul-sawar hum bhi hain
junun ke hath se hai in dinon gareban tang
qaba pukarti hai tar tar hum bhi hain
baDe hi chaaliye hain chaal chalte hain har dam
wo chukte nahin par hoshiyar hum bhi hain
raqib ko bhi hai bar un ki bazm mein 'agha'
sharik-e-sohbat-e-bos-o-kanar hum bhi hain
Ghazal
Hazar jaan se sahab nisar hum bhi hain
Aagha Akbarabadi