hayat-o-marg ka uqda kusha hone nahin deta
wo jaane kyun mujhe raaz-ashna hone nahin deta
use kis darja apne husn-e-yaktai ki chahat hai
wo apna sa koi bhi dusra hone nahin deta
KHirad bhaTkae hai aksar dalael se aqidat ko
magar gumrah tera naqsh-e-pa hone nahin deta
jo chhu lun aasman panw ki dharti khinch leta hai
wo mujh ko kyun mere qad se baDa hone nahin deta
jawan-lashe pe hain shikwa-ba-lab kandhe zaifi ke
agar wo chahta ye hadisa hone nahin deta

Ghazal
Hayat-o-marg ka uqda kusha hone nahin deta
Ram Awtar Gupta Muztar