hayat insan ki sar ta pa zaban malum hoti hai
ye duniya inqilab-e-asman malum hoti hai
mukaddar hai KHizan ke KHun se aish-e-bahaar-e-gul
KHizan ki rut bahaar-e-be-KHizan malum hoti hai
mujhe nakaami-e-paiham se mayusi nahin hoti
abhi ummid meri naujawan malum hoti hai
koi jab nala karta hai kaleja tham leta hun
fughan-e-ghair bhi apni fughan malum hoti hai
maal-e-dard-o-gham dekho sada-e-saz-e-ishrat bhi
utar jati hai jab dil mein fughan malum hoti hai
chaman mein andalib-e-zar ki fariyaad ai 'aKHtar'
dil-e-nadan ko apni dastan malum hoti hai
Ghazal
Hayat insan ki sar ta pa zaban malum hoti hai
Akhtar Ansari