اردو हिंदी
Hayat dauDti hai umr bhar qaza ki taraf | Shaahi Shayari
hayat dauDti hai umr bhar qaza ki taraf

Ghazal

Hayat dauDti hai umr bhar qaza ki taraf

Javed Jameel

;

hayat dauDti hai umr bhar qaza ki taraf
jaza-e-KHair ki jaanib ki phir saza ki taraf

maqam-e-fikr hai ye samt-e-fikr Thik nahin
safar hai tez magar hai kahan KHuda ki taraf

rahe miyana-rawi hai yahi tariqa-e-adl
jhuken na sifr ki jaanib na intiha ki taraf

na jaane kaisa hai ye irtiqa zamane ka
ki lauT lauT ke jata hai ibtida ki taraf

ye kaisi ja hai jahan hai hawa bhi masnui
nikal ke bhag chalo qudrati faza ki taraf

maraz shifa ki taDap mein qadam uThata hai
kabhi dawa ki taraf aur kabhi dua ki taraf

pukarna hai tera kaam kaam kar 'jawed'
palaT ke aaegi duniya teri sada ki taraf