haya se sar jhuka lena ada se muskura dena
hasinon ko bhi kitna sahl hai bijli gira dena
ye tarz ehsan karne ka tumhin ko zeb deta hai
maraz mein mubtala kar ke marizon ko dawa dena
balaen lete hain un ki hum un par jaan dete hain
ye sauda did ke qabil hai kya lena hai kya dena
KHuda ki yaad mein mahwiyat-e-dil baadshahi hai
magar aasan nahin hai sari duniya ko bhula dena
Ghazal
Haya se sar jhuka lena ada se muskura dena
Akbar Allahabadi