اردو हिंदी
Hawas kisi ko ho dekhne ki jo mauj-e-be-intiha-e-dariya | Shaahi Shayari
hawas kisi ko ho dekhne ki jo mauj-e-be-intiha-e-dariya

Ghazal

Hawas kisi ko ho dekhne ki jo mauj-e-be-intiha-e-dariya

Nusrat Lakhnavi

;

hawas kisi ko ho dekhne ki jo mauj-e-be-intiha-e-dariya
to aa ke chashmon ko dekhe meri ki yan se hai ibtida-e-dariya

habab un ko na samjho yaro ye uThte pani mein hain jo har-dam
badan khula jo kisi ka dekha khule hain ye ida-e-dariya

darun-e-girdab ab jo ja kar phansi hai kashti hamari yarab
sarishk-e-yas ab bhi hai jo aankhon se kya kahen majra-e-dariya

sarishk-e-chashm aur aah-e-sozan ne mere ai wae ek pal mein
bahut se jangal kiye hain sarsabz aur kitne sukhae dariya

uThaega jab talak na 'nusrat' tu warta-e-ishq ki mashaqqat
to hath aawega kyunki tere wo gauhar-e-be-baha-e-dariya