hawa sanke to KHaron ko baDi taklif hoti hai
mere gham ki bahaaron ko baDi taklif hoti hai
na chheD ai ham-nashin ab zist ke mayus naghmon ko
ki ab barbat ke taron ko baDi taklif hoti hai
mujhe ai kasrat-e-alam bas itni shikayat hai
ki mere gham-gusaron ko baDi taklif hoti hai
kaho maujon se lahra kar na yun palTen samundar se
ki ba-ghairat kinaron ko baDi taklif hoti hai
gale milte hain jab aapas mein do bichhDe hue sathi
'adam' hum be-sahaaron ko baDi taklif hoti hai
Ghazal
Hawa sanke Khaaron ki baDi taklif hoti hai
Abdul Hamid Adam