hawa ne ism kuchh aisa paDha tha
diya diwar par chalne laga tha
main sehr-e-KHwab se uTTha to dekha
koi khiDki mein suraj rakh gaya tha
khaDa tha muntazir dahliz par main
mujhe ek saya milne aa raha tha
tere aane se ye uqda khula hai
main apne aap mein rakkha hua tha
sabhi lafzon se taswiren banain
meri poron mein manzar rengta tha
mujhe tere iradon ki KHabar thi
so gahri nind mein bhi jagta tha
main jab maidan KHali kar ke aaya
mera dushman akela rah gaya tha
sabhi ke hath mein patthar the 'azar'
hamare hath mein ek aaina tha
Ghazal
Hawa ne ism kuchh aisa paDha tha
Dilawar Ali Aazar