hawa mein uDta koi KHanjar jata hai
sar uncha karta hun to sar jata hai
dhup itni hai band hui jati hai aankh
aur palak jhapkun to manzar jata hai
andar andar khokhle ho jate hain ghar
jab diwaron mein pani bhar jata hai
chha jata hai dasht o dar par sham Dhale
phir dil mein sab sannaTa bhar jata hai
'zeb' yahan pani ki koi thah nahin
kitni gahrai mein patthar jata hai
Ghazal
Hawa mein uDta koi KHanjar jata hai
Zeb Ghauri