hawa ki halki si aahaT pe yun machal jaana
umid-e-wasl pe bismil ka phir sambhal jaana
na aa rahe the na aana tha aur na imkan tha
ye zoam-e-dil tha ya qismat ka yun badal jaana
ye dil pe bojh hai dardon ka ya teri yaaden
ya aablon ka hararat se hai pighal jaana
teri talash mein uTh uTh ke pagalon ki tarah
shab-e-firaq mein ghar se kahin nikal jaana
ye jaante hain ki mumkin nahin tu lauT aae
shiar-e-dil hai teri yaad se bahal jaana
teri umid ka jab sar se uTh gaya aanchal
to fasl-e-gul mein tha yaksar KHizan mein Dhal jaana
abhi thi tere safine ki muntazir 'kausar'
ajab laga tere sahil se yun phisal jaana

Ghazal
Hawa ki halki si aahaT pe yun machal jaana
Naheed Kausar